top of page

Ashk

Ye jahan to khudgarj hai janab

Na jaane kab muh mor jaega

Ek ye mere ashk hi hai habib

Gam-e-dil mai jo saath nibhayega


Bhale hi kitna in ashkon ko rokein

chahe karle laakh bahane

Par ye hai mehboob iss dil ke

gam-e-dil mai absaar bhar hi jaye


E rakib bade saste hain tere liye

Mere ashkon ke ye moti

Besh kimat hain mujhe mere ashk

Gam-e-dil ke mere ye hain saathi


Ek ye mere ashk hi hai habib

Gam-e-dil mai jo saath nibhayega

Ye jahan to khudgarj hai janab

Na jaane kab muh mor jaega



47 views0 comments

Recent Posts

See All

Eternal Beauty

Two mates were passing through the lanes Chattering and chattering and enjoying the rain While passing by a block Near a spring full of flocks The mates encountered a serene maid Stopped beside her to

Thak gye hain yuhin chalte chalte

Thak gye the yuhin chalte chalte Iss bhag daud bhari jindagi mein Kitni hi baar girte sambhalte Na jaane kitne hi pathik aage nikal gaye Nhi maloom kitno ko hum peeche chor aye Bas ab thak gaye akele

Guru

Post: Blog2_Post
bottom of page