top of page

Dastaan-e-zindagi

Updated: Sep 3, 2020

Iss Zindagi ki daastan

Bas kuch palon ki shumari hai

Kuch jee liye kuch yuhin kat gaye

Har pal ek rawani hai.


Ashkon ke darichon par

Muskurahaton ka parda hai

Kuch nami thi musarrat ki

Kuch gum ka bhi natiza hai


Kuch ankahee si baatein hai

Kuch unchahe se alfaaz hai

Yuhin bojhil si nhi h khwahishen

Kuch bemaksad se khwaab hai


Kya khoob hai dasstan-e-zindagi

Har pal ki ye jo kitaab hai

Kabhi rafiq ka saath bhi hai

Kabhi tanha-e-majhdar hai






59 views1 comment

Recent Posts

See All

Eternal Beauty

Two mates were passing through the lanes Chattering and chattering and enjoying the rain While passing by a block Near a spring full of flocks The mates encountered a serene maid Stopped beside her to

Thak gye hain yuhin chalte chalte

Thak gye the yuhin chalte chalte Iss bhag daud bhari jindagi mein Kitni hi baar girte sambhalte Na jaane kitne hi pathik aage nikal gaye Nhi maloom kitno ko hum peeche chor aye Bas ab thak gaye akele

Ashk

Ye jahan to khudgarj hai janab Na jaane kab muh mor jaega Ek ye mere ashk hi hai habib Gam-e-dil mai jo saath nibhayega Bhale hi kitna in ashkon ko rokein chahe karle laakh bahane Par ye hai mehboob i

Post: Blog2_Post
bottom of page