Dorahe
- Soniya
- Aug 16, 2020
- 1 min read
Updated: Sep 3, 2020
Kuch dil ki khwahishen thi aur
Masoom se bachpan ki
Masoom si farmaishein thi
Nadan ye mann tha aur
Beparvah se kuch hum bhi the
Iss jahan ke riwaazon se
Amber se khwaab the aur
Hosla bhi yoon kam na tha
Unchi udaano mein
Chal rhe the path par aur
Rookne ka irada bhi na tha
Iss seedhi dagar par
Dorahe par akar kuch yoon ruke aur
Vapasi ka koi safar bhi to na tha
Zindagi ki rahoon se
Khwahishen badal gyi aur
farmaishein bhi aise khamosh ho gyi
Iss urr ke tehkhane se
Ab to bas har pal ek asmanjash h aur
Samadhan ki talassh h
Jeevan ke inn dorahon par
Bring the pain
No fear,now that I know my way
I'll come right up
My fear and my dark is what makes me.."me"
Even if I fall I come right up!