top of page

Tera Des

Updated: Sep 3, 2020

Tera ye des mujhe raas na aya

Ye taur tareeke ye chaal dhaal

Ki mujhe ab tak na bhaya


Bin matlab ke ye neeyam-o-kanoon

Apni man marzi ke ye siddhant

Ki ab tak koi laabh samajh na aya

Tera ye des mujhe raas na aya


Kaise ye vaasi, kaise ye praant

Kitne hai chehre, kitne libaas

Ki shabdon se ye bhaav mel na khaya

Tera ye des mujhe raas na aya


Matlabon se rishte hain

Swarth ke ye naate hain

Nhi to tu kaun, humko pehchaan na aya

Tera ye des mujhe raas na aya


Ye taur tareeke ye chaal dhaal

Ki mujhe ab tak na bhaya

Tera ye des mujhe raas na aya


Recent Posts

See All
Eternal Beauty

Two mates were passing through the lanes Chattering and chattering and enjoying the rain While passing by a block Near a spring full of...

 
 
 
Yaadein

Badi hi ajeeb hoti hain ye yaadein bhi Bin bulaye a jaati hain Na sanjh dekhti na eitwaar Kabhi bhi dastak de jaati hain Kabhi rula kar...

 
 
 
Waqt

yaad bhut ata hai tu Kya jaane kyun tu beet gaya na jaane kyun tu badal gaya par yaad bhut ata h tu. kya tujhse ab shikwa karun na jaane...

 
 
 

Comments


Post: Blog2_Post
bottom of page