Badi hi ajeeb hoti hain ye yaadein bhi
Bin bulaye a jaati hain
Na sanjh dekhti na eitwaar
Kabhi bhi dastak de jaati hain
Kabhi rula kar sula diya
Kabhi hansa kar utha diya
Kuch dabe-chupe se jajbaaton ko
Ye yaadein bayan humse kar jaati h
Kabhi tanhayi m humsafar si
Kabhi bheedh m khamoshi si
Ye yaadein bhi ajeeb hain
Kabhi khusnuma kabhi udaseen si
Koi bata de inko
Na sitam yoon kiya karein
Ab ati hain to aa jayein
Bas waqt to dekh liya karein
Kabhi bhi dastak de jaati hain
Na sanjh dekhti na eitwaar
Bin bulaye a jaati hain
Ye yaadein bhi, badi hi ajeeb hoti hain